Sunday, June 14, 2009

Shayari....Sentimental


kyon unki tamana main shamil nahi hain hum
sach to ye hai k un k qabil nahi hain hum
ehsan hoga bhol se agar yaad karain woh,
jin ki yaad se ek pal bhi gafil nahi hum
*******************************************
main ne faslon ko mitaya woh judai kar gaya
kitna masom tha woh lekin bewafai kar gaya
woh sekha gaya kisi pe na atebar karna
kitni burai kar k ek achai kar gaya.
**********************************************
us zalim ka youn na intezar karna,
es qatil dil ka na aitebar karna
roz nikla karain kisi ki yaad main ansoo,
itna kabhi na kisi se pyar karna.
*************************************************
un ki mohabbat ka abhi nishan baki hai,
naam lab par hai aur jaan baki hai,
kiya hua agar dekh kar mouh pher lete hain woh
tassali hai k shakal ki pehchan abhi baki hai
**************************************************************
waqt guzarta raha par sasain thami si thi,
muskura rahe tahe hum par ankhon main nami si thi,
sath humare tha ye sara zamana par,
na jane kyon kisi ki kami si thi.
*******************************************************8

Mujhe dard-e-ishq ka maza malum hai,
Dard-de-dil ki inteha malum hai,
Zindagi me kabhi muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki saza malum hai.

******************************************************
palkon ke kinare jo humne bhigoye hi nahi
wo sochte hain hum roye hi nahi
wo poochhte hain khwabon mein kise dekhte ho
hum hain ki ek umar se soye hi nahi.
******************************************************

Aansuonn ko bahot Samjhaya kay tanhayion mein aaya karo
mehfil mein humaara mazaak mat udaaya karo
Is par ansoon tadap ka boley
Itne logon mein bhi aapko tanha paatey hain
isiliye tunhaara saath dene chale atey hain
******************************************************

tum laakh chhupao seenein mein, ehsaas humaari chaahat ka
dil jab bhi tumhaara dhadka hai, awaaz yahan tak aayi hai

******************************************************
Jo taar se nikli hain woh dhun, sab ne suni hai
Jo saaz pe guzri hai woh, kis dil ko pata hai

******************************************************
Khudah se maine ek duva maangi,
Duva mein apni maut maangi,
Phir khudah ne kaha...
Maut to tujhe de doon par,
Usko kya kahoon jisne teri lambi umar maangi

******************************************************
meri qabar par phool charha raha hai koi...
meri qabar par ansoo baha raha hai koi…
aye khuda thori se zindagi aur day...
meri qabar se mayoos ja raha hai koi

******************************************************
AAJ BHI SHAAM KI AANKHEN NAM KYUN HAIN...
HAMEIN TO ARSAA HO GAYA DAASTAANE-GAM SUNAAYE HUE...

******************************************************
na uda yun thhokaron se meri khaak-e-kabr zaalim...
yahi ek rah gayi hai mere pyar ki nishani.

******************************************************
iss tarah likhne mein maahir to hum bhi nahi...
aur phir woh keh jaate hain unko koi gum bhi nahi...
kucch to raaz andar inke bhi chipa hoga..
kahin koi dard hoga andar..tabhi to aasuon ka daayra bana hoga

******************************************************
Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh
Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh
Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

******************************************************
PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA, TUM SE PYAAR NAHI KARTE
APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,TERI RAAH HI TAKTI HEIN
OR TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE

******************************************************
Dard ko bhi ab dard hone laga hai
Dard apne zakhmo ko dhone laga hai
Dard ko paaker hum to nahi roye
Dard hame paaker rone laga hai

******************************************************
Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta
Iska matlab ye nahin ki mai usse pyar nahi karta
Chahata hun mai use aaj bhi
par Uski soch me apna waqt bekar nahi karta
Tamasha na ban jaye kahi mohabbat meri
Isliye apne dard ka izhaar nahi karta
Jo kuch mila hai ussi me khush hun mai
Uske liye khuda se takrar nahi karta
Par... Kuch to baat hai uski fitrat me zalim
Warna ussko chahne ki khata mai baar - baar nahi karta...........

******************************************************

3 comments: